Intraday Trading kya hai : Aaj ham is Article men aapko batyengen ki Intraday Trading kya hai aur Intraday Trading Tips dengen jise aap agar acchi trah se follow karte hain to aap ghar baithe accha khasa paisa kama sakte hai. vo bhi bahut kam paison men. lekin in sab ko karne ke liye sabse pehle aapko khud par control karna hoga. agar aap khud par control kr liye aur hamare dwara bataye gaye niyam ko follow karte hain to aap sayad bahut saare paise kama sakte hain. to aaiye sabse pehle jante hain ki Intraday Trading kya hai?
Intraday Trading kya hai
Trading;
Sabse pehle jante hain ki trading kya hota hai. jaisa ki naam se hi pata chalta hai ki trading matlab kharid bikri. mins kisi bhi cheej ka kharidna bechna.
Intraday:
Intraday ka matlab hota hai ek dain ke liye. Bahut se jaghon par ise Day trading bhi kaha jata hai.
Intraday Trading matlab vaisa kharid ya bikri jismen share ko sirf ek din ke liye kharda jata hai aur phir usi din bech diya jata hai. ya phir kisi company ke share ko sirf ek din ke liye becha jata hai phir usi din use kharid kr barabar kr diya jata hai. agle din ke liye kuch bhi nahin rakha jata hai.
Example:-
Jaise Aapne State Bank Of India ka 100 share 300 Rupes per share ke hisab se kharida. yani ki total paisa laga 300*100= 30000 rupes. ab agar ye share usi din 300 se 305 ho jata hai to aapko per share 5 rupye ka profit hoga. yani total profit 100*5 = 500. isi trah agar SBI ke share ka kimat 300 se 295 hogaya to aapko 500 ka loss hoga. Intraday men aapke dwara kharida gaya 100 share aapko usi din bechna hoga. Bazar band hone se pehle. Bhale aapko loss ho ya profit.
Intraday trading se aapko paisa kamana hai to aapko bas ye andaja lagana hota hai ki share ka price upar jayga ya phir niche agar aapko ye pata chal gaya to aap yahan se paise kama sakte hain. par Share Bazar men bare se bare trader ko bhi pata nahin hota ki kaun share upar jayega aur kaun share niche jayega par agar aap sahi se bazar ko samjhegen to dhere-dhere 70-80 percent tak sahi anuman laga sakte hain.
Intraday Trading ke Phayde
(1) Intraday Trading men stock broker ki traf se aapko 10-15 guna margin money milta hai jis se aap km paise men bhi adhik share kharid ya bech sakte hai. jaise agar aapke pass das hajar rupye hain to aap Intraday men ek lakh se dedh lakh rupye tak ka share kharid sakte hain.
(2) Intraday trading men aapko agle din ka tension nahin rehta hai. chahe Bazar agle din upar khule ya phir niche khule.
(3) Intraday trading men aapko brokerage kam lagta hai. long time Investment ke mukable.
Intraday Trading ke Nuksan
(1) Intraday trading men agar aapne margin money ka use kr share kharida ya phir becha aur aapne stop loss nahin lagaya aur share ka daam aapke anuman ke mutabik nahin chala to aapka total paisa dub sakta hai ya negative men bhi ja sakta hai.
(2) Intraday trading men kam samay hone ke karan aap sahi se anuman nahin laga pate ke share ka price upar jayega ya phir niche.
(3) Intraday trading Long time Investment ke mukable jyada riski hota hai.
Intraday Trading Rules
(1) No Time Limit:-
Intraday Trading ka pehla rule ye hai ki aap kabhi bhi samay sima nischit kr trading nahin karen. Balki jab bhi aap ko lage ki yahan se ab exit ho jana chahiye aap exit kr lijiye. jabki kuch log karte hain ki 9:15 men Inter karte hain aur 3:15 ke baad exist karte hain. jabki unhen aisa nahin karna chaiye.
(2) Sahi samay ka Intjar karen:-
Jab bhi aap trade karne baithe to sahi samay ka intjar karen na ki jaldibaji men koi bhi trade le len. agar trade ke liye sahi samay na mile to baith kr intjar karen. agar trade na mile to trade na len. kyunki aap ek glat trade lekar paisa gavate hain us se accha hai ki trade na len. kam se kam paisa to bachta hai.
(3) Pehle se Target Fix kar len:-
Jab bhi aap Intraday men trading karen to apna target finx kr len ki itna price par mujhe exit karna hai. bhale hi vo vahan hi uske baad aur upar jaye ya phir niche. Isi liye jaise hi aapka target meet kare aap exit kr jayen.
(4) Target hit hone ke baad trade band kr den
Jab aap Intraday men trade karen to ek baat ka dhyan den ki jab bhi aapka target hit ho to aap apna mobile ya PC ko band kr us din ke liye trade chor den. bhale vo aapka stop loss hit kare ya phir aapka target hit kare.yaani ki profit ho ya loss aap us din ke liye trade chor den.
(5) Ek baje ke baad trade na len:-
Aap jab bhi Intraday men trade karte hain to kabhi bhi ek baje ke baad trade na len kyunki ek baje ke baad share bazar men volatility badh jati hai. jis katan aapka stop loss hit hone ka chance badh jata hai.
(6) Ek hi stock men 2nd trade na len:-
Jab aap trading karen to same stock men 2nd trade na len. ab jaise aap ne ek stock men order diya aur aapka target hit kiya aur phir munafa huaa. ya phir kisi stock men stop loss hit huaa. to phir us stock men dubara inter na karen. agar aap karte hain to yahan aapko sayad nuksan uthana pr sakta hai.
(7) Hamesa In rules ko follow karen:-
Sabse antim aur sabse mahtvpurn rule ye hai ki kabhi bhi upar diye gaye rules ko break na karen. Agar aapko intraday se paisa kamana hai. kyunki rules to sabko pata hota hai par ham khud par control nahin kr pate hain.
Read More:-
Read More:-